Zamane ne kaha tooti hui tasweer banti hai Tere darbaar main bigdi hui taqdeer banti hai Shirdi Wale Sai Baba Zamane ne kaha tooti hui tasweer banti hai Tere darbaar main bigdi hui taqdeer banti hai Tareef teri nikli hai dil se Aayi hai lab pe ban ke qawaali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali Lab pe duayen aakhon main aansoon Dil main umeedein par jholi khali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali O mere sai deva, tere sab naam lewa Khuda insaan saare, sabhi tujhko hain pyaare Sune fariyaad sabki, tujhe hai yaad sabki Bada ya koi chhota, nahi mayoos lauta Ameeron ka sahara, gareebon ka guzara Teri rehmat ka kissa bayan akbar kare kya Do din ki duniya, duniya hai gulshan Sab phool kaante, too sab ka maali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali Khuda ki shaan tujhme, Dikhe bhagwaan tujhme Tujhe sab maante hain, Tera ghar jaante hain Chale aate hain daude, Jo khush kismat hain thode Yeh har raji ki manzil, Yeh har kashti ka sahil Jise sab ne nishala, Use toone sambhala Too bichhdon ki milaye, Bujhe deepak jalaye Yeh gam ki raatain, raatain yeh kaali Inko banade eid aur diwali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali Lab pe duayen aakhon main aansoon Dil main umeedein par jholi khali Shirdi wale sai baba Aaya hai tere dar pe sawali x4 SOURCE: http://www.yugalsarkar.com/lyrics/shirdi-wale-sai-baba-Lyrics