शिव समा रहे मुझमें,
Shiv Sama Rahe Mujhme
Aur Main Shunya Ho Raha Hoon
Shiv Sama Rahe Mujhme
Aur Main Shunya Ho Raha Hoon
Krodh Ko Lobh Ko
Krodh Ko Lobh Ko
Main Bhasm Kar Raha Hoon
Shiv Sama Rahe Mujhme
Aur Main Shunya Ho Raha Hoon
Om Namah Shivay
Shiv Sama Rahe Mujhme
Aur Main Shunya Ho Raha Hoon
Om Namah Shivay
Teri Banai Duniya Mein
Koyi Tujh Sa Mila Nahi
Main Toh Bhatka Darbadar
Koyi Kinara Mila Nahi
Jitna Paas Tujhko Paya
Utna Khud Se Door Ja Raha Hoon
Shiv Sama Rahe Mujhme
Aur Main Shunya Ho Raha Hoon
Om Namah Shivay
Maine Khud Ko Khud Hi Bandha
Apni Khinchi Lakeeron Mein
Main Lipat Chuka Tha
Ichha Ki Zanjeeron Mein
Anant Ki Gehraiyon Mein
Samay Se Door Ho Raha Hoon
Shiv Pranon Mein Utar Rahe
Aur Main Mukt Ho Raha Hoon
Shiv Sama Rahe Mujhme
Aur Main Shunya Ho Raha Hoon
Wo Subah Ki Pahli Kiran Mein
Wo Kastoori Van Ke Hiran Mein
Megho Mein Garje Goonje Gagan Mein
Ramta Jogi, Ramta Gagan Mein
Wo Hi Vayu Mein Wo Hi Aayu Mein
Wo Jism Mein Wo Hi Rooh Mein
Wo Hi Chhaya Mein Wo Hi Dhoop Mein
Wo Hi Hain Har Ek Roop Mein
Oh Bhole Oh
Krodh Ko Lobh Ko
Krodh Ko Lobh Ko
Main Bhasm Kar Raha Hoon
Shiv Sama Rahe Mujhme
Aur Main Shunya Ho Raha Hoon
Om Namah Shivay